Bohot Jee Liye Ghut Ghut Ke…

Bohot jee liye ghut ghut ke,
Ab khulke jeene ki bari hai,
Toofano se takrakar badhne ki,
Ab humari poori taiyyari hai.

 

Kehdo unse jo sochte the,
Durbalta ka matlab nari hai,
Bohot jee liye bedhiyo me,
Ab waqt badalne ki bari hai.

 

Na mitti ke putle hai hum,
Na kam hai na kamzor hai,
In chudhiyo ke bajuon me bhi,
Faulado jitna zor hai.

 

Shakti ka swaroop hai hum,
Sita ki nirmalta bhi hai,
Ek baar jo man me thaan le hum,
To adig humari chaal hai.

 

Kehte hai Jannat hoti hai,
Jis ghar me beti palti hai,
Par beti par zulm dekhkar,
Aaj khud Jannat bhi roti hai.

 

Na rukenge aur na sahenge hum,
Ab awaaz uthane ki bari hai,
Kismat ki lakeerein badalne ki,
Ab humari poori taiyyari hai.

2 thoughts on “Bohot Jee Liye Ghut Ghut Ke…

Leave a comment